Pine Aur Khane Ki Chiz Me Makhhi Gir Jaye Toh Kiya Karna Chahiye - TopicsExpress



          

Pine Aur Khane Ki Chiz Me Makhhi Gir Jaye Toh Kiya Karna Chahiye ? . Jawaab: Abu Daud Ne Hazrat- E-Abu Huraira (Radi Allahu Ta’ala Anhu) Se Rivayat Ki Hai Ki, Rasool-e-Paak (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: “Jab Khane Me Makhkhi Gir Jaye Toh UsKo Gota (Dubana) Do Kyun Ki Us Ke Ek Par (wings) Me Bimari Hai Aur Dusre Me Shifa Hai Aur Usi Par(Wing) Se Apne Ko Bachati Hai Jis Me Bimari Hai. (Wahi Par(Wing) Khane Me Pehle Dalti Hai Jisme Bimari Hai Lihaza Puri Ko Gota (Duba) Do.” -: . (Sunane Abu Daud Hadees No : 3844, Jild–3, Page No- 511) . Sabak: Makkhi Ko Dubana Us Surat Me Mumkin Hoga Jab Ki Khane Ya Pine Ki Cheez Patli (Liquid) Ho Jaise Ki Paani, Sharbat , Daal, Saalan Wagaira. Agar Liquid Na Ho To Aap Us Thodi Jagah Se Us Chiz Ko Kinare Dal De Take Chinti Wagaira Khale.
Posted on: Thu, 25 Jul 2013 18:11:15 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015