Sahaba-E-Kiram Ki Mohobbat Wa Aqidat Ek Misaal - TopicsExpress



          

Sahaba-E-Kiram Ki Mohobbat Wa Aqidat Ek Misaal He* Sahaba-E-Kiram radiallahu anhu jinke afaal wa akwaal puri ummat ke liye Rahe Hidayat he. Jinki mubarak zindagi ka mutaala kare to pata chalega ke har Sahabi apne aaqa se behad muhabbat karta tha. Yaha tak ke jis chiz se pyare aaqa ko mohobbat ho jaye us chiz ko Sahaba bhi muhabbat karte the. Sarware Qaynat Madine Ke Tajdar Huzoor SALALLAHU Alayhi Wasallam ke khadim Hazrate Anas Radiallahu Anhu ke pas Madani Aaqa ka Pyala tha jo lakadi ka tha aur us par lohe ka halka (ghera) bana hua tha. Ek bar Hazrat Anas Radiallahu Anhu ne chaha ki Lohe ke badle Sone ya Chandi ka halka banade. Magar Hazrat Talha Radiallahu Anhu ne kaha ke jis chiz ko Pyare Aaqa ne banaya he use tabdil na karna chahiye. Yah sun kar Hazrat Anas Radiallahu Anhu ne us pyale ko waise hi rehne diya aur Hazrate Anas Radiallahu Anhu Farmate He ke isi pyale me maine Pyare Aaqa SALALLAHU Alayhi Wasallam ko kai bar pani pilaya he. >Bukhari Sharif Bad me wahi pyala Hazrat Anas ki Aulad ki Miras me se 8 lakh dirham me kharida gaya. Imaam Bukhari Rehmatullah Alayhi farmate he ke us pyale ko maine Basare (Iraak ka shahar) me dekha aur usme maine pani piya. >Sharah Manaadi Isi tarah ka ek Pyala Hazrat Khaddash Ibne Abi khaddash Radiallaho Anho ke pas tha. Unhone apne Pyare Aaqa SALALLAHU Alayhi Wasallam se hasil kiya tha. Hazrat Umar Farooq Radiallahu Anhu kabhi kabhi Hazrat Khaddash ke ghar tashrif le jate aur unse wahi Pyala talab farmate aur use Aabe Zamzam se bharkar pite aur apne chehre par chinte marte. >Kanzul Umaal Hazrat Abu Mahzura Radiallahu Anhu ke sar ke agle hisse me balo ka guchcha tha. Jab wah baithte to usko chod dete to woh zamin se lag jata tha. Unse kaha gaya ki tum inko mundwate kyo nahi? Farmaya ke me inhe hargiz na mundwaunga kyonki in balo par Pyare Aaqa SALALLAHU Alayhi Wasallam ka Hath Mubarak laga hua he >Shafa Sharif Hazrat Sahal bin saad Radiallahu Anhu farmate he ki ek Aurat Chadar lekar Madani Aaqa Swallalaho Alayhi Wasallam ki bargah me hazir hui. Aur arz kiya Ya Rasoolallah SALALLAHU Alayhi Wasallam ye chadar maine apne hatho se buni he aur aapke liye layi hu. Aapne qabool farmaya. Fir use bataur tehband bandh kar hamari taraf tashrif laye. Ek Sahabi ne arz kiya ke Kya achchi Chadar he. Pyare Aaqa SALALLAHU Alayhi Wasallam ne Kashaana-E-Akdas (Huzra sharif) me jakar lapetkar us Sail Sahabi ko ata farmadi. Sahabae kiram anhum ne us sahabi se kaha ke tune chadar mang kar achcha nahi kiya. Halake tuze malum he ke Pyare Aaqa Swallalaho Alayhi Wasallam kisi ka sawal radd nahi farmate he. Is waqt Huzoor ko uski jarurat thi. Us Sahabi ne kaha Khuda ki kasam maine chadar ka isliye sawal kiya ke mere marne ke bad ye chadar jo pyare aaqa ke Jisme Pak se lag chuki he mera Kafan bane. Hazrate Sahal farmate he wahi chadar mubarak uska Kafan bani. >Bukhari Sharif Hazrate Abdullah bin Umar Radiallahu Anhu ka ye maamul tha ke jab woh Masjid-E-Nabwi me tashrif late to Mimbar sharif me jo jagah Pyare Aaqa SALALLAHU Alayhi Wasallam ke baithne ki jagah thi waha apne hatho ko malte fir apne muh par fer lete the. >Shafa Sharif ?SubhanALLAH ! SubhanALLAH ! Kya Muhabbat wa Aqidat he. Sahaba-E-Kiram ki jo apne Pyare Aaqa ke liye mohobbat thi aur jo unka Pak Aqida apne Aaqa ke liye tha wah har waqt nayi shakla me jahir hota tha. Sahaba-E-Kiram ka apne Pyare Aaqa ki taraf Aqida aur Mohobbat Tamam Momin ke liye Misaal aur Rahe Hidayat he. Mutmahan jaise jahan me koi insan nahi, Sub kuch he magar Daulat-E-Imaan nahi, Sarkar-E-Do Aalam se jo Muhabbat na kare, Lakh sajde kare fir bhi Musalman nahi. Aaj Pyare Aaqa ke kuch Ummati Apne Aaqa ke Ishq wa Muhabbat me machal kar agar Naam-E-Pak chumta he to Nabi ka hi kalma padhnewale kuch log muh bigadte firte he. Inpar shirk wa biadat ka fatwa laga dete he. Aur Naam-E-Pak chumna haraam batate he. (Maazallah) Mujaddid-E-Deeno Millat Imaam Ahmed Raza Khan Fazile Barelwi Rehmatullah Alayhi irshad farmate he Khuda jab Deen leta he, To Akal bhi chin leta he. Sahaba-E-Kiram ki apne Aaqa ke liye Mohobbat ka is kadar Aqida rakhte the ki shayad hi koi itni Mohobbat apne Aaqa ke liye kar sakta he. Pyare Aaqa SALALLAHU Alayhi Wasallam ki Muhabbat hi Imaan ki dalil he aur wahi Imaan ki Jaan he. Allah hum subke dilo me Apni aur Apne Habeeb ki Muhabbat ata farmaye. Aameen Awwal Aakhir Durood allhahuma sal li ala Muhammadin Wa ala ali muhammadin Kama sal-layta ala Ibraheema Wa ala ali ibrahima. Inaka hameedum majeed Allah humma barik ala muhammadin Wa ala ali muhammadin Kama barakta ala ibraheema Wa ala ali Ibrahima Inaka hameedum majeed
Posted on: Tue, 22 Oct 2013 11:46:19 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015