Summary of Baba Ji’s Blessings ( 18-May-14, Delhi)- Sadh - TopicsExpress



          

Summary of Baba Ji’s Blessings ( 18-May-14, Delhi)- Sadh Sangat Ji Prem se kehna Dhan Nirankar Ji 1) Abhi aap, Mahapursho ke vachan shravan kar rahe the jo sunder dhang se apne bhaav ko samaksh rakh rahe the aur jo Satye aur Parmaarth par adharit the. Inhi ki keemat hai kyunki jiske aise neki waale bhaav hote hain, aur ye jiske hirdey me baste hain aur inko kriyatmak roop diya jaata hai toh mann ko bhi Anand milta hai aur jeevan ko bhi shobha milti hai. 2) Vo bol keemti hote hain jo Bhakti par adharit hote hain. Varna toh bol dilon ko dukhane waale ya viprit raaste par chalaane waale bhi hote hain. Unpar chalte hain toh jeevan me girawat aati hai, isliye usi vaani ki keemat hai jo zakhmo ko bharti hai, jiske kaaran hamaare jeevan ko sahi disha milti hai. 3) Sansaar mein hamein aneko aise udharan aur musaalein milti hain, jo dekhne mein aata hai ki usme peeda aur maayusi hoti hai. Agni aur jal ki misaalein milti hain, agni, jo jhulsaati hai aur tapash paida karti hai, par Santo ki vaani aur bhaav sheetal jal ka kaam karti hai jo thandak deti hai. Sant na hote jagat mein toh jal marta sansaar. 4) Chandan ka sang kar lo toh tumhe bhi vo sugandhi prapt ho jayegi. Toh aiso ka sang karo jo sheetal hain, jo thandak dete hain, jo Prem aur Pyar se bhare hote hain. Bhakt bhi usi ka sang karte hain jo thandak dete hain. Chandan ko sungho ya badan par lagao, vo thandak hi pradan karta hai. Aisi baani boliye man ka aapa khoye, airon ko sheetal kare, aaphu sheetal houe. Jo itr lagaate hain ya usko lagaane waale ka sang karte hain, use sugandh hi milti hai. Sant bhi vaani aur karm ke dwara thandak hi pradaan karte hain. 5) Jaise ek angaar ya koyla haath me uthaate hain toh vo hamaari hatheli ko jalayege aur agar usko kisi pe phenkenge toh usko bhi nuksaan dega. Isi tarah jiske mann ke bhaav irshya jalan ya lobh laalach vaale hote hain, vo aap bhi chain nahi lete hai aur auron ko bhi jalaate hain. Unke jeevan ki koi mahetta nahi hoti, vo aisa jeevan hai ki uska anukaran karne waale bhi girawat ki aur jaate hain. Isliye kaha jaata hai ki aise Santo ka sang kato jo sach ki daulat ko prapt kiye hue hain, inka sang karke tum bhi apne jeevan ko thehraav de do. 6) Kusang nahi, su-sangati karni hai. Jo sang nuksaan, doobone ya apyash dilaane ka kaaran hai, aisa sang na karein. Su-sangati hamaare budhi ko samajh pradaan karti hai, jo aisi budhi ko rakhte hain, unhi ka sang karna hai. Mann neevaan matt unchi. Toh unchi mati waalo ka sang karein taaki unche khayaal aur unchi soch ho tabhi jeevan unchai ki taraf jaayega. 7) kaha jaata hai, ki iss insaan ko aisa sang mil gaya hai ki iski budhi bhrasht ho gayi hai, bado ke samne zubaan chalne laga hai, nasho ka sang karne laga hai. Aisa isliye kaha jaata hai kyunki usko aisa sang mila hai jo bura hai isliye budhi bhrasht hui hai aur jeevan mein girawat aayi hai. Ye budhi viveki rahe, uski liye santo ka sang zaruri hai, tabhi jeevan ki mahetta aur shobha bani rehti hai. 8) Kaante kapdo ko phaad dete hain aur shareer ko bhi chhalni karte hain. Par Mahatma isi se bachne ke liye hamein sajag karte hain. Kuch bhi ho jaaye, saakat ki sangati na karun. Tulsi tahaan na jaayiye taha kanchan barse meh. Vahaan chaahe sone ki barsaat kyu na ho rahi ho, saakat hamein naana prakaar ke pralobhan kyu na de, par JO ki bhoosi Sant ki, phir bhi bachaav karegi. Sadhu ki matt ko dhaaran kiya toh vo jhopdi bhi mehlon se mubaarak hai kyunki usme rehne waala unchi matt aur khayaal waala hai, vo Maalik ka ehsaas karta hai, sabr aur santokh ka dhan uske paas hai. Kakhaan di O kulli changi jiss vich Gurmakh rehnda e. 9) Chandan sar par lagaya hai, koi insaan kahe ki aao tumhe gale laga lun toh vo chandan usko bhi thandak degi. Jo gande naale se sana hua ho, usko hum aage bad kar gale nahi lagaate. Toh vaha jaise hamaari sajagta kaam karti hai, toh saakat ki sangati bhi na karein, Santo ki matti ka sang karo. 10) Surye ki mahetta toh hai hi hai, vo roshni aur kirne toh de raha hai, par jo aankhein kholkar chalne waala hai, vahi uska laabh le sakta hai, aankh band karke thokar lage toh suraj ki galti nahi hai. Isi tarah se uttam vaani aur vachno ki mahetta hai, lekin koi usko na maane ya na chale toh vo uss laabh se vanchit hai. 11) Mahapursh mann vach karam se ek sa jeevan jeene ki prerna dete hain. Humne vachno ko dhaaran karna hai, usko vyarth nahi karna hai. Gaaghar ki misaal aati hai, nalka chal raha hai, jal nikal raha hai, par vo gaaghar bhari nahi kyunki usko ulta rakha hua tha, usko seedha kiya par vo phir nahi bhari, phir poocha gaya toh pata chala uspar dhakkan tha. Dhakkan hataaya gaya lekin phir bhi vo bhari nahi kyunki usme chhed tha. Isi tarah hamaare jeevan mein agar dushbhaavnayein ho toh jeevan ki gaaghar bhari nahi jaayegi. 12) Inn vachno ko mahetta deni hai, ye Gyan gehra hai, hamein ismein gehra utarna hai. Gehre nahi gaye toh motiyon ko kaise praapt karenge. Isi prakaar vachno mein gehre utarna hai. 13) Hoton ko kewal geela karne se baat nahi banegi, isko gat-gat karke peena hai. Gyan ko kewal prapt hi nahi karna isme gehre utarna hai. Ek, daas shabd ka istemaal hota hai, meri gehri daas waali bhaawna ho, usme gehra utru, kewal vo shabd daas waala ho toh uski mahetta nahi hai. 14) Dataar sabko taufeeq de ki sab mahapursho ke ek-ek vachan ko dhaaran karke jeete chale jaayein, yash ko prapt karein aur vo sabke liye prerna ka karan bante chale jaayein. Sadh Sangat Ji Dhan Nirankar Ji
Posted on: Sun, 18 May 2014 14:09:07 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015