This is really Cute Poem by a cute Kid Must Read :) Ye baat - TopicsExpress



          

This is really Cute Poem by a cute Kid Must Read :) Ye baat samajh me aayi nahi, Aur mummy ne mujhe samajhai nahi. kaise mithi baat karu Main? Jab mithi koi cheez maine khai nhi. Ye chand kyo maamu hai mera? Jab mumy ka wo bhai nahi. Kyu lambe baal hai bhaalu ke? Kyu usne triming karai nahi. Kya wo bi ganda bachha hai? Ya jungle me koi naai nahi. Nana ki biwi jab nani hai, Dada ki biwi jab dadi hai. Papa ki biwi kyon papi nahi? Samundar ka rang kyu neela hai? Jab neel kisi ne milai nahi. Jab school me itni neend aati hai. Toh kyu bed waha rakhwai nahi? Ye baat samajh mein aayi nahi Aur mummy ne mujhe samjhai nahi?
Posted on: Fri, 23 Aug 2013 06:17:39 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015