Waqiya: . Hazrat Sulaimaan Alaihis salam Ke Zamane Mei Ek Shakhs - TopicsExpress



          

Waqiya: . Hazrat Sulaimaan Alaihis salam Ke Zamane Mei Ek Shakhs Ne Hazaar (1000) Dirham Mei Ek Bulbul Khareedi Jo Bahut Bolti Thi . Ek Din Uske Pinjre Par Tota (Parrot) Kuch Bol Kar Udd Gaya or Uss Bulbul Ne Bolna Chhor Diya Uss Shakhs Ne Hazrat Sulaimaan Alahiis salam Ki Khidmat Mei Hazir Ho Kar Yeh Qissa Bayan Kiya, . Hazrat Sulaiman Alaihis Salam Ne Bulbul Ka Pinjra(Cage) Mangwa Kar Uss Se Khaamoshi Ka Sabab Pucha ? . Wo Boli Ke “Mai Apne Watan Aulaad Ko Yaad Kar Ke Roti Thi or Log Usse Geet Samw sajhte The Mujhe Tote Ne Samjhaya Ke Teri Be-Sabri Hi Is Qaid Se Rahai(Reason) Ka Sabab He Agar Tu Sabr Kare or Khaamosh Ho Jaaye To Chhut Jaye Lihaza Ab Mai Kabhi Nahin Bolungi Hazrat-e-Sulaimaan Alaihis Salam Ne Us Ke Bulbul Ke Maalik Se Kaha Ke Tu Us ke Bolne Se Na-Ummid Ho Jaa Wo Bola fhir Mujhe Uske Paalne Ki Kiya Zaroorat He ? Main To Uski Awaaz Ka Aashiq Tha Ye Keh Kar Usne Uss Bulbul Ko Aazad Kar Diya Bulbul Ye Kehti Huwi Udd Gayi Ke “Paak He Wo Jisne Mujhe Ande (Egg) Me Banaya or Hawa Me Udaaya Pinjre Me Sabr Dekar Wahaan Se Chhuraya Ref Tafseer- e-Roohul Bayan Tafseer-e-Naeem Part 2, Maut Ka Manzar Page No.97 Sabaq:Ye Duniya Qaid khana He or Aakhirat Hamari Manzil He Manzil Tak Pahunchna He To Sabar Se kaam Lo Allah Hame Aakhirat Ki Fikar Naseeb Farmaye AAMIN SUMMA AAMIN Waqiya:
Posted on: Wed, 24 Jul 2013 08:09:21 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015