Ye rakh rakh rutain, apni raat ki qismat tum apni neend bujhao, - TopicsExpress



          

Ye rakh rakh rutain, apni raat ki qismat tum apni neend bujhao, tum apne khwaab chuno bikharti doobti nabzon pe dhayan kaya daina tum apne dil main dharaktay harf suno tumhare shehr ki galion main sail-rang bakhair tumhare naqsh-e-qadam phool phool khilte rahain Wo rehguzar jahan tum lamha bhar thehar ke chalo wahan pe abr jhukain aasman milte rahain nahin zaroori ke har ajnabi ki baat suno har ik sada pe dharkna bhi dil ka farz nahin sakoot-e-halqa-e-zanjeer-e-dar bhi kiyun tootay saba ka saath nibhana junoon ka farz nahin Hum aisay log buhat hain jo sochtay hi nahin ke umar kaisay kati kis ke saath beet gai hamari tishna labi ka mizaj kaya janay ke fasl-e-bakhshish-e-mauj-e-faraat beet gai ye aik pal tha jisay tum ne nauch dala hai wo ik sadi thi jo be iltafaat beet gai hamari ankh laho hai tumhain khabar ho gi charagh khud se bujha hai ke raat beet gai.... !
Posted on: Mon, 01 Jul 2013 10:16:42 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015