"""" ZAKAAT KISKO DENI CHAIYE AUR ISKA ASAL HAQDAAR KON - TopicsExpress



          

"""" ZAKAAT KISKO DENI CHAIYE AUR ISKA ASAL HAQDAAR KON HAI""""" AYATE KAREEM; Tarjumaa : sadqaat fukra wa masakeen ke liyehai aur unke liye jo is kaam par mukar rar hai aur wa jin ke kulub ki taalif (dil me muhabbat paida karna) maksood hai aur gerdan chodana me aur tawaan wale ke liye aur ALLAH ki raah me aur musaafir ke liye yaa ALLAH ki taraf se mukar rar karna hai aur ALLAH ilm wa hikmat wala hai!!!! Hadees : 1. sunan abu dawood me jayaad ibne haaris sudaai radiallahu taala anhu se marvi ki RASOOLALLAH SALLALLAHU TAALA ALAI HI WA SALLAM ne farmaya ki ALLAH taala ne sadqaat ko NABI ya kisi aur ke huqam par nahi rakha balki usne khud iska huqam bayaan farmaya…..!!!!!!!!! Hadees : 2. imam ahmad wa abu dawood wa haakim abu saheed radiallahu taala anhu se raavi ki RASOOLALLAH SALLALLAU TAALA ALAI WA SALLAM ne farmaaya ki gani ke liye sadqa halal nahi magar 5 sakhas ke liye 1. ALLAH ki raah me jehaad karne wala 2. sadqe par aamil (jo sadqa wasool karne me mutayyan ho) 3. tawaan wale ke liye 4. jisne apne maal se khareed liya ho 5. ya miskeen kosadqa diya gaya aur is miskeen ne apne padhosi maaldaar ko hadya kiya aur ahmad behki ki dusri riwaayat me musaafir ke liye bhi jawaaz aaya hai …….!!!!!!!!! Hadees : 3. behki ne hazrat moula ali radiallahu taala anhu se riwaayat ki ki farmaaya sadqae mafrooza (jo sadqa farz ho jaise zakaat) me olad aur waalid ka haq nahi……..!!!!!!!! Mas’ala ;- FAKEER, wa sakhs hai jis ke paas kuch ho magar na itna ki nisaab ko pohanch jaaye ya nisaab ki qadr ho toh uski haazate asliya me musttagrak ho maslan rehne ka makaan pehanne ke kapdeh khidmat ke liye londi gulam shugal rakhne wale ko dini kitabejo uski zururat se jaida na ho jiska baya guzrayuhi agar madyuun (jis par karz ho) hai aur den nikaalne ke baad nisaab baaki rahe toh fakeer hai agarcha uske paasa ek toh kya kahinisaab ho…!(ruddul mukhtaar) Mas’ala ;- MISKEEN, wa hai jiske paas kuch na ho yaha tak ki khane aur badan chupaane ke liye iskaa mohtaaz hai ki logo se sawaal karehaur isse sawaal halal hai fakeer ko sawaal najaiz ki jiske paas khane aur badan chupaane ko ho usse bager zururat wa mazburi sawaal haram hai…!(alamgiri) Mas;ala ;- AAMIL, wa hai jise baadshaah islam ne zakaat aur usar wasool karne ke liye mukar rar kiya isse kaam ke lihaaz se itna diyajaaye ki isko aur iske madadgaaro ko mutawassat taur par kaafi ho magar itna na diya jaaye ki jo wasool kar laaya hai us ke nisfse jaida ho jaaye..! ( durre mukhtaar wagera) Mas’ala ;- RAKAAB, se muraad makaatib gulam (makaatib gulam wa ki maalik ne usse ye kaha diya ho ki rupya de do toh tum azaad ho) ko dena ki us zakaat ke maal se badle kitaabat yaani wahi rupya jo azaad hone ke liye maalik ko dena hai, ada kareh aur gulami se apni gerdan rihaa kareh..!(aaimaakutub) Mas’ala ;- GAARIM, se muraad madyun hai yaani is par itna den ho ki use nikaalne ke baad nisaab baaki na rahe agarcha iskaa auroh par baaki ho magar lene par qaadir na ho magar shart ye hai ki madyun hashmi na ho…!( durre mukhtaar wagera) Mas’ala ;- FEE SABILILLAH, yaani rahe khuda mekharch karna iski chand surte hai maslan koi shaks mohtaaz hai ki jehaad me jaana chata hai sawaari aur safar ka samaan iske paas nahi toh ise maale zakaat de sakte hai ki ye raahe khuda me dena hai agarcha wa kamaane par qaadir ho ya koi hajj ko jaana chata hai aur iske paas maal nahi isko zakaat de sakte hai magar ishe hajj ke liye sawaal karna jaiz nahi ya taalib ilm ki ilm e deen pardta ya padana chata hai ise de sakte hai...! ( durre mukhtaar wagera) Mas’ala ;- IBNUSSABIL, yaani musaafir jiske paas maal na raha zakaat le sakta hai agarchaiske ghar maal mojood ho magar uski qadr le jisse haazat puri ho jaaye jaida ki izaazat nahi… yuhi agar maalike nisaab kaa maal kisi miyaad tak ke liye dusre par den hai aur abhi miyaad puri na huai aura b ise zururat hai ya jis par iska ata hai wa yaha mojood nahi ya mojood hai magar naadar( bahut garib) hai ya deen se munkir hai agarcha ye sabot rakhta ho toh in sub surto me baqadr zururatzakaat le sakta hai magar behtar ye hai ki karzmile toh karz lekar kaam chalaye …!(alamgiri, durre mukhtaar.) Sabhi islami bhaiyo aur behno se purkhulus iltijaa hai ke wo apni zakaat, fitre, sadqat in dawate islami walo ko naa de ye log in zakaatwagera ko tv channel me laga rahe hai jo najaiz aur haram hai…….zakaat ka haqdaar sub se pehle rishtedaar ka hota hai, us ke baad padhosi ka hota hai fir us ke baad society, us ke baad city, us ke baad country, us ke baad out of country……….!!!!!!!!!! Sabhi islami bhaiyo aur behno se purkhulus iltijaa hai ke wo apni zakaat, fitre, sadqat in dawate islami walo ko naa de ye log in zakaatwagera ko tv channel me laga rahe hai jo najaiz aur haram hai…….zakaat ka haqdaar sub se pehle rishtedaar ka hota hai, us ke baad padhosi ka hota hai fir us ke baad society, us ke baad city, us ke baad country, us ke baad out of country……….!!!!!!!!!! ALLAH SE DUA HAI KE AAP SUB ISLAMI BHAIYO KO HAQ SUNNE AUR HAQ PAR KAAYAM RAKHE ALLAH HUMMA AMEEN
Posted on: Fri, 12 Jul 2013 05:23:24 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015