kuchh to havaa bhii sard thii kuchh thaa teraa Khayaal bhii dil - TopicsExpress



          

kuchh to havaa bhii sard thii kuchh thaa teraa Khayaal bhii dil ko Khushii ke saath saath hotaa rahaa malaal bhii [sard=cold; malaal=sorrow] baat vo aadhii raat kii raat vo puure chaa.Nd kii chaa.Nd bhii ain chet kaa us pe teraa jamaal bhii [chet=name of a month; jamaal=beauty] sab se nazar bachaa ke vo mujh ko aise dekhate ek dafaa to ruk ga_ii gardish-e-maah-o-saal bhii dil to chamak sakegaa kyaa phir bhii taraash ke dekh lo shiishaagaraan-e-shahar ke haath kaa ye kamaal bhii [taraash=chisel/polish (stone); shiishaagar=glazier/one works with glass] us ko na paa sake the jab dil kaa ajiib haal thaa ab jo palaT ke dekhiye baat thii kuchh muhaal bhii [muhaal=difficult/impossible] merii talab thaa ek shaKhs vo jo nahii.n milaa to phir haath duaa se yuu.N giraa bhuul gayaa savaal bhii [talab=quest/want; shaKhs=person] shaam kii naasamajh havaa puuchh rahii hai ik pataa mauj-e-havaa-e-kuu-e-yaar kuchh to meraa Khayaal bhii [naasamajh=naive] us ke hii baazuuo.n me.n aur us ko hii sochate rahe jism kii Khvaahisho.n pe the ruuh ke aur jaal bhii
Posted on: Sat, 05 Oct 2013 05:07:48 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015