السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ - TopicsExpress



          

السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ اعوذ بالله من الشيطان الرجيم بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ. *الصلوة واسلام عليك يارسول الله*صلى الله عليه وآله وسلم Assalaam u Alaikum Warahmatullah Wabarkatuh Hiqayat/Wakiya Farooq e Aazam ki sahadat (Part-1) Hazrat Umar Farooq Radhi Allahu Ta’ala Anhu ne ek raat khawab me dekha ki ek surkh rang ke murg ne aapke badan me 2-3 thonge maari hai. Aapne yeh khawab khutba e jumma me bayan kiya. Iss khawab ki tabir bayan ki gai ki koi kafir umar ko sahid kar dega. Chunanche jumma ke roz yeh khawab bayan kiya gaya aur budh ke din subah ki namaz me aap zakhmi kiye gaye. Aapki yeh aadat thi ki namaz shuru karne se pehle safo ko sidha kiya karte the. Jab safe sidhi ho jaati tab ALLAH HU AKBAR kehkar niyat baandhte the. Budh ke din jab aapne safe sidhi karne ke baad niyat baandhi tab firoz naami ek aatish parast (aag ki pooja karne wala) musrik gulam ne aapko 2 dhari churi se zakhmi kar diya. Farooq e Aazam ke pet par zakhm aa gaya. Aapko gira kar wah kaafir firoz bhaga. Raaste me jam’at ke ander aur bhi sahaba ko sadid zakhm lagaye. Aakhir ek ansari ne us par apna kambal daalkar use pakad liya. Jab us zalim ne jaan liya ki ab me pakda gaya hu aur mera hasr bura hoga toh wah kaafir apne haatho se churi marker mar gaya. Hazrat Umar Radhi Allahu Ta’ala Anhu ne Abdur Rehman Bin Auf ko apni jagah namaz padhnae ke liye hukm diya. Khud wahi baithkar namaz padhte rahe aur zakhmi hokar bhi wahi haazir rahe. (Siratus Saalihin,Safa-94) Ek Hazrat Umar hai jo zakhmi halat me bhi namaz ada karte rahe aur ek hum hai jo acchi khasi sehat hote huye bhi namaz pabandi se ada nahi karte hai. Aye musalmano dekho Hazrat Umar ko jo jannati hone ke bawajud kis tarah ALLAH ki ibadat kiya karte the zara socho kya hamare amal iss qabil hai ki hum jannat me jaaye,kya humne apne ALLAH ko razi kiya hai, kya humne apne gunaho se sacche dil se tauba ki hai????? ALLAH bahot bada meharbaan hai abhi bhi hamare paas waqt hai sajde me girkar apne RAB ko manalo. Bure kaamo se tauba aur us raah me chalo jispar chalne ka ALLAH ne hukm diya hai. Aye ALLAH tu hum sabke gunaho ko baksh de aur hume us raah pe chalne ki taufeek de jo tujhe aur tere mehboob SALALLALHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ko pasand hai. Aameen
Posted on: Fri, 23 Aug 2013 07:15:47 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015